ishq ka dip har ek dil mein jalao jaanan
'ishq kā diip har ik dil meñ jalāo jānāñ
husn aur 'ishq kī tafsīr batāo jānāñ
tum ko dīvāngī kyā hai ye samajhnā ho agar
tum bhī majzūb kī dahlīz pe jaao jānāñ
husn ko un ke faqat husn samajhte ho tum
pahle duniyā meñ koī misl to laao jānāñ
mujh se milne kī tamannā hai to aa kar mil lo
naaz naḳhre na mujhe aise dikhāo jānāñ
bas sharaf diid kā ik baar 'ināyat kar do
is qadar ab na mire dil ko satāo jānāñ
gar tumheñ ziist meñ taklīf nahīñ chāhiye to
tum kisī se bhī yahāñ dil na lagāo jānāñ
aa ga.e haiñ agar 'ashraf' to ye kah do un se
phir koī taaza ġhazal likh ke sunāo jānāñ
'ishq ka dip har ek dil mein jalao jaanan
husn aur 'ishq ki tafsir batao jaanan
tum ko diwangi kya hai ye samajhna ho agar
tum bhi majzub ki dahliz pe jao jaanan
husn ko un ke faqat husn samajhte ho tum
pahle duniya mein koi misl to lao jaanan
mujh se milne ki tamanna hai to aa kar mil lo
naz naKHre na mujhe aise dikhao jaanan
bas sharaf did ka ek bar 'inayat kar do
is qadar ab na mere dil ko satao jaanan
gar tumhein zist mein taklif nahin chahiye to
tum kisi se bhi yahan dil na lagao jaanan
aa gae hain agar 'ashraf' to ye kah do un se
phir koi taza ghazal likh ke sunao jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.