ishq ka e’tibar hain hum log
'ishq kā e’tibār haiñ ham log
zindagī kā vaqār haiñ ham log
gard-e-lail-o-nahār haiñ lekin
ġhāza-e-nau-bahār haiñ ham log
sar pe bār-e-falak uThā.e haiñ
go nahīf-o-nazār haiñ ham log
dushmanoñ ke liye payām-e-marg
aur yāroñ ke yaar haiñ ham log
zindagānī gañvā na de ham ko
hāsil-e-rozgār haiñ ham log
ik safar tīrgī meñ jaarī hai
asp-e-shab par savār haiñ ham log
husn kī qadr hai hameñ mā'lūm
shā'iroñ meñ shumār haiñ ham log
aa.ina dekhnā bhī hai mushkil
is qadar sharmsār haiñ ham log
ham 'munavvar' haiñ pāsbāñ gul ke
is gulistāñ meñ ḳhaar haiñ ham log
'ishq ka e’tibar hain hum log
zindagi ka waqar hain hum log
gard-e-lail-o-nahaar hain lekin
ghaza-e-nau-bahaar hain hum log
sar pe bar-e-falak uThae hain
go nahif-o-nazar hain hum log
dushmanon ke liye payam-e-marg
aur yaron ke yar hain hum log
zindagani ganwa na de hum ko
hasil-e-rozgar hain hum log
ek safar tirgi mein jari hai
asp-e-shab par sawar hain hum log
husn ki qadr hai hamein ma'lum
sha'iron mein shumar hain hum log
aaina dekhna bhi hai mushkil
is qadar sharmsar hain hum log
hum 'munawwar' hain pasban gul ke
is gulistan mein KHar hain hum log
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 81)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.