ishq ka humse nam baqi hai
ishq kā ham se naam baaqī hai
husn kā ehtirām baaqī hai
piine vaale to uTh ga.e kab ke
haañ magar daur-e-jām baaqī hai
shauq-e-dīdār-e-ḳhās ḳhatm huā
talab-e-dīd-e-ām baaqī hai
kis ko ḳhāsān-e-mai-kada haiñ yaad
mai-kade hī kā naam baaqī hai
bāvajūd-e-jafā-garī-e-ajal
zindagī kā davām baaqī hai
rūh-e-dair-o-haram se kaam nahīñ
ehtirām-e-maqām baaqī hai
dil meñ izzat na jazba-e-iḳhlās
rasm-o-rāh-e-salām baaqī hai
rahravo ye samajh ke chalte chalo
manzil ab chand gaam baaqī hai
kis ko parvā-e-nang-o-nām magar
havas-e-nang-o-nām baaqī hai
kuchh to ho shaġhl-e-bāda-e-gul-rang
kaif-e-gulfām-e-shām baaqī hai
jism āzād ho ga.e lekin
rūh-o-zehn-e-ġhulām baaqī hai
tere hī dam se kuchh na kuchh 'maġhmūm'
ābrū-e-kalām baaqī hai
ishq ka hum se nam baqi hai
husn ka ehtiram baqi hai
pine wale to uTh gae kab ke
han magar daur-e-jam baqi hai
shauq-e-didar-e-KHas KHatm hua
talab-e-did-e-am baqi hai
kis ko KHasan-e-mai-kada hain yaad
mai-kade hi ka nam baqi hai
bawajud-e-jafa-gari-e-ajal
zindagi ka dawam baqi hai
ruh-e-dair-o-haram se kaam nahin
ehtiram-e-maqam baqi hai
dil mein izzat na jazba-e-iKHlas
rasm-o-rah-e-salam baqi hai
rahrawo ye samajh ke chalte chalo
manzil ab chand gam baqi hai
kis ko parwa-e-nang-o-nam magar
hawas-e-nang-o-nam baqi hai
kuchh to ho shaghl-e-baada-e-gul-rang
kaif-e-gulfam-e-sham baqi hai
jism aazad ho gae lekin
ruh-o-zehn-e-ghulam baqi hai
tere hi dam se kuchh na kuchh 'maghmum'
aabru-e-kalam baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.