Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ka iKHtitam karte hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

ishq ka iKHtitam karte hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    'ishq iḳhtitām karte haiñ

    dil qissa tamām karte haiñ

    qahr hai qatl-e-ām karte haiñ

    tark turkī tamām karte haiñ

    tāq-e-abrū se un ke dar-guzre

    ham yahīñ se salām karte haiñ

    shaiḳh us se panāh māñgte haiñ

    barhaman raam raam karte haiñ

    jauharī par tire dur-e-dandāñ

    āb-o-dāna harām karte haiñ

    ḳhatt-e-qismat paḌhā nahīñ jaatā

    sirf mantiq tamām karte haiñ

    ilāhī halāl hoñ vaa.iz

    duḳht-e-raz harām karte haiñ

    aap muñh lagī hai duḳhtar-e-raz

    bāteñ hoñToñ se jaam karte haiñ

    chalī duniyā se ham pa-e-uqbā

    kuuch bhar maqām karte haiñ

    apne dil par hai iḳhtiyār hameñ

    mulk intizām karte haiñ

    qābil-e-guftugū raqīb nahīñ

    aap kis se kalām karte haiñ

    raat bhar mere nāla-e-pur-dard

    niiñd un harām karte haiñ

    zulm ahmaqoñ muñh-zorī

    tañg ye be-lagām karte haiñ

    dil se rañg-e-duī miTāte haiñ

    zaḳhm iltiyām karte haiñ

    ai 'sabā' kyuuñ kisī dil toḌeñ

    ka.abe ehtirām karte haiñ

    'ishq ka iKHtitam karte hain

    dil ka qissa tamam karte hain

    qahr hai qatl-e-am karte hain

    tark turki tamam karte hain

    taq-e-abru se un ke dar-guzre

    hum yahin se salam karte hain

    shaiKH us se panah mangte hain

    barhaman ram ram karte hain

    jauhari par tere dur-e-dandan

    aab-o-dana haram karte hain

    KHatt-e-qismat paDha nahin jata

    sirf mantiq tamam karte hain

    ya ilahi halal hon waiz

    duKHt-e-raz haram karte hain

    aap ki munh lagi hai duKHtar-e-raz

    baaten honTon se jam karte hain

    chali duniya se hum pa-e-uqba

    kuch bhar maqam karte hain

    apne dil par hai iKHtiyar hamein

    mulk ka intizam karte hain

    qabil-e-guftugu raqib nahin

    aap kis se kalam karte hain

    raat bhar mere nala-e-pur-dard

    nind un ki haram karte hain

    zulm hi ahmaqon ki munh-zori

    tang ye be-lagam karte hain

    dil se rang-e-dui miTate hain

    zaKHm ka iltiyam karte hain

    ai 'saba' kyun kisi ka dil toDen

    kabe ka ehtiram karte hain

    Source :
    • Ghuncha-e-Arzu
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now