ishq ka imtihan hai pyare
ishq kā imtihān hai pyāre
aur tū nā-tavān hai pyāre
dil ke is iztirāb se har dam
har haqīqat bayān hai pyāre
terī sarkash-nigār fitrat se
ġham-zada āsmān hai pyāre
fitrat-e-dil hai bas bahak jaanā
ājizī bad-gumān hai pyāre
raqs-e-fariyād se aajiz ho kar
bebasī be-zabān hai pyāre
maiñ giraft-e-visāl kā maarā
aur vo lā-makān hai pyāre
ishq ḳhūn-e-jigar kā tālib hai
tū ki kamzor-e-jān hai pyāre
sar-ba-sajda nigār-e-hastī se
chashm-e-nam hirz-e-jān hai pyāre
ḳhaak bosīda dil kā ho jaanā
is ke shāyān-e-shān hai pyāre
ḳhud se bezār kyoñ huā 'bāliġh'
tujh pe rab mehrbān hai pyāre
ishq ka imtihan hai pyare
aur tu na-tawan hai pyare
dil ke is iztirab se har dam
har haqiqat bayan hai pyare
teri sarkash-nigar fitrat se
gham-zada aasman hai pyare
fitrat-e-dil hai bas bahak jaana
aajizi bad-guman hai pyare
raqs-e-fariyaad se aajiz ho kar
bebasi be-zaban hai pyare
main giraft-e-visal ka mara
aur wo la-makan hai pyare
ishq KHun-e-jigar ka talib hai
tu ki kamzor-e-jaan hai pyare
sar-ba-sajda nigar-e-hasti se
chashm-e-nam hirz-e-jaan hai pyare
KHak bosida dil ka ho jaana
is ke shayan-e-shan hai pyare
KHud se bezar kyon hua 'baaligh'
tujh pe rab mehrban hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.