ishq ka kitna kaam paDa hai
'ishq kā kitnā kaam paḌā hai
aur tasavvur jaam paḌā hai
aaj usī ko phailā.eñge
zehn meñ terā naam paḌā hai
ek kahānī laa.e haiñ ham
tum pe koī anjām paḌā hai
maiḳhāne ko daan karūñgā
TuuTā sā ik jaam paḌā hai
bach ke nikalnā ghar se bāhar
chaukhaT par ilzām paḌā hai
maiñ āñgan meñ Tahal rahā huuñ
bistar par ārām paḌā hai
us nādāñ ko kaun batā.e
niim ke nīche aam paḌā hai
'ishq ka kitna kaam paDa hai
aur tasawwur jam paDa hai
aaj usi ko phailaenge
zehn mein tera nam paDa hai
ek kahani lae hain hum
tum pe koi anjam paDa hai
maiKHane ko dan karunga
TuTa sa ek jam paDa hai
bach ke nikalna ghar se bahar
chaukhaT par ilzam paDa hai
main aangan mein Tahal raha hun
bistar par aaram paDa hai
us nadan ko kaun batae
nim ke niche aam paDa hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 86)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.