ishq ka markaz hai jo us laDke ko lae koi
'ishq kā markaz hai jo us laḌke ko laa.e koī
kab talak pāgal phiregī laḌkī batlā.e koī
us ke vā'de us kī yādeñ sab haiñ is dil meñ rakhe
ab hai dhaḌkā is tijorī ko na le jaa.e koī
us se hī haiñ saare mausam us kā muskānā bahār
khul ke vo hañs de kabhī aur megh barsā.e koī
phir tirī āvāz ke dhoke meñ khiḌkī tak ga.e
jhāñk kar dekhā parinda rāgnī gaa.e koī
āñkheñ satrañgī haiñ us kī gul-mohar se lab bane
muskurāhaT vo nasha jogan bahak jaa.e koī
sah nahīñ paa.e azāb-e-hijr ye hai aur baat
is gunāh-e-ishq par lekin na pachhtā.e koī
ye adab kā hai maqām ab rahne de ye mashvare
'aql lāzim hai ḳhamoshī dil ko jab bhaa.e koī
zindagī dil kī to hai muhtāj bas is ek kī
varna yuuñ to chāhe jitne 'ishq farmā.e koī
mar chukī haiñ Tahniyāñ jo suukh kar laao idhar
mere hāthoñ meñ hai miTTī paanī barsā.e koī
din Dhalegā raat hogī ham guzarte jā.eñge
aa.e the kyoñ jā.eñge kyoñ ham ko samjhā.e koī
'ishq ka markaz hai jo us laDke ko lae koi
kab talak pagal phiregi laDki batlae koi
us ke wa'de us ki yaaden sab hain is dil mein rakhe
ab hai dhaDka is tijori ko na le jae koi
us se hi hain sare mausam us ka muskana bahaar
khul ke wo hans de kabhi aur megh barsae koi
phir teri aawaz ke dhoke mein khiDki tak gae
jhank kar dekha parinda ragni gae koi
aankhen satrangi hain us ki gul-mohar se lab bane
muskurahaT wo nasha jogan bahak jae koi
sah nahin pae azab-e-hijr ye hai aur baat
is gunah-e-ishq par lekin na pachhtae koi
ye adab ka hai maqam ab rahne de ye mashware
'aql lazim hai KHamoshi dil ko jab bhae koi
zindagi dil ki to hai muhtaj bas is ek ki
warna yun to chahe jitne 'ishq farmae koi
mar chuki hain Tahniyan jo sukh kar lao idhar
mere hathon mein hai miTTi pani barsae koi
din Dhalega raat hogi hum guzarte jaenge
aae the kyon jaenge kyon hum ko samjhae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.