ishq ka panna kahin moDa gaya hai
ishq kā pannā kahīñ moḌā gayā hai
phuul ik gul daan se toḌā gayā hai
ishq kī rāhoñ kā mujh ko kyā pata hai
biich raste meñ mujhe chhoḌā gayā hai
man kisī shīshe sarīkhā ho chalā hai
dikh hī jaatā hai kahāñ joḌā gayā hai
duur jaane kī kahī thī baat us ne
rah gayā thoḌā yahāñ thoḌā gayā hai
dil usī ko chāhtā hai TuuT kar ke
jis ke hāthoñ bārhā toḌā gayā hai
ishq ka panna kahin moDa gaya hai
phul ek gul dan se toDa gaya hai
ishq ki rahon ka mujh ko kya pata hai
bich raste mein mujhe chhoDa gaya hai
man kisi shishe sarikha ho chala hai
dikh hi jata hai kahan joDa gaya hai
dur jaane ki kahi thi baat us ne
rah gaya thoDa yahan thoDa gaya hai
dil usi ko chahta hai TuT kar ke
jis ke hathon barha toDa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.