ishq ka shor karen koi talabgar to ho
'ishq kā shor kareñ koī talabgār to ho
jins bāzār meñ le jaa.eñ ḳharīdār to ho
hijr ke soḳhta-jāñ aur jaleñge kitne
tuur par baiThe haiñ kab se tirā dīdār to ho
shiddat-e-dard do-pal ke liye kam hotā ki
ġham ke alfāz ke singār meñ iz.hār to ho
kab se ummīd lagā.e hue baiThe haiñ ham
ne sahī gar nahīñ iqrār so inkār to ho
kufr ehrām ke parde meñ chhupā dekhā hai
ek 'ālam hai agar darpai zunnār to ho
ham ne maanā ki sharāfat hai baḌī chiiz magar
kuchh zamāne ko sharāfat se sarokār to ho
ḳhāna-e-dil meñ nahīñ ek kiran kā bhī guzar
saarī duniyā hai agar matla'-e-anvār to ho
rāzdārī hī meñ hotā hai sharīfoñ kā hisāb
tujh ko manzūr hai gar bar-sar-e-bāzār to ho
'ishq ka shor karen koi talabgar to ho
jins bazar mein le jaen KHaridar to ho
hijr ke soKHta-jaan aur jalenge kitne
tur par baiThe hain kab se tera didar to ho
shiddat-e-dard do-pal ke liye kam hota ki
gham ke alfaz ke singar mein izhaar to ho
kab se ummid lagae hue baiThe hain hum
ne sahi gar nahin iqrar so inkar to ho
kufr ehram ke parde mein chhupa dekha hai
ek 'alam hai agar darpai zunnar to ho
hum ne mana ki sharafat hai baDi chiz magar
kuchh zamane ko sharafat se sarokar to ho
KHana-e-dil mein nahin ek kiran ka bhi guzar
sari duniya hai agar matla'-e-anwar to ho
raazdari hi mein hota hai sharifon ka hisab
tujh ko manzur hai gar bar-sar-e-bazar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.