ishq ka wahm hai zamane par
ishq kā vahm hai zamāne par
kyā bigaḌte haiñ vo fasāne par
madad-e-shauq se pahuñchtā huuñ
tiir se pahle maiñ nishāne par
tum to aise bigaḌ ga.e ki panāh
ġhair ko bazm meñ banāne par
aap āñkheñ mujhe dikhāte haiñ
ek zaḳhm-e-jigar dikhāne par
un ke jaane se jī hī chhūT gayā
naaz thā ham ko dil lagāne par
hosh aatā hai jaan jaatī hai
in hasīnoñ ke āne-jāne par
yuuñ na Thukrā ham ab to baiTh rahe
rakh ke sar tere āstāne par
merī qismat meñ thā ki ashk piyūñ
muhr hotī hai daane daane par
ai 'zakī' kis balā kā hai andāz
aaj zulf us kī vā hai shāne par
ishq ka wahm hai zamane par
kya bigaDte hain wo fasane par
madad-e-shauq se pahunchta hun
tir se pahle main nishane par
tum to aise bigaD gae ki panah
ghair ko bazm mein banane par
aap aankhen mujhe dikhate hain
ek zaKHm-e-jigar dikhane par
un ke jaane se ji hi chhuT gaya
naz tha hum ko dil lagane par
hosh aata hai jaan jati hai
in hasinon ke aane-jaane par
yun na Thukra hum ab to baiTh rahe
rakh ke sar tere aastane par
meri qismat mein tha ki ashk piyun
muhr hoti hai dane dane par
ai 'zaki' kis bala ka hai andaz
aaj zulf us ki wa hai shane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.