ishq karna hai hamein marne se ghabraenge kya
ishq karnā hai hameñ marne se ghabrā.eñge kyā
gardish-e-aflāk ko ḳhātir meñ ham lā.eñge kyā
kitne barsoñ meñ lagī hai aañkh ai aaqā mirī
diid ke mushtāq ko chehra na dikhlā.eñge kyā
jaane lete haiñ diloñ kā mudda.ā maulalvarā
ham kareñge arz kyā aur zaḳhm dikhlā.eñge kyā
dil kī shādābī se haiñ chehre kī sab shādābiyāñ
dil na badleñge to phir chehre badal jā.eñge kyā
aap ne samjhā diye haiñ saare asrār-o-rumūz
falsafī 'sābir' hameñ ab raaz samjhā.eñge kyā
ishq karna hai hamein marne se ghabraenge kya
gardish-e-aflak ko KHatir mein hum laenge kya
kitne barson mein lagi hai aankh ai aaqa meri
did ke mushtaq ko chehra na dikhlaenge kya
jaane lete hain dilon ka muddaa maulalwara
hum karenge arz kya aur zaKHm dikhlaenge kya
dil ki shadabi se hain chehre ki sab shadabiyan
dil na badlenge to phir chehre badal jaenge kya
aap ne samjha diye hain sare asrar-o-rumuz
falsafi 'sabir' hamein ab raaz samjhaenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.