ishq karnā ik sazā hai kyā kareñ
ishq kā apnā maza hai kyā kareñ
kaam apne aa rahā hai Thiik hai
aadmī lekin burā hai kyā kareñ
chaar din kī zindagī hai aur phir
bebasī hī rāstā hai kyā kareñ
jhuuT kahnā to ġhalat hai yaar par
saaf kahnā bhī burā hai kyā kareñ
zulm kī apnī alag pahchān hai
ik madad kā rāstā hai kyā kareñ
ham jise the DhūñDte hī rah ga.e
sāmne hī vo khaḌā hai kyā kareñ
ishq karna ek saza hai kya karen
ishq ka apna maza hai kya karen
kaam apne aa raha hai Thik hai
aadmi lekin bura hai kya karen
chaar din ki zindagi hai aur phir
bebasi hi rasta hai kya karen
jhuT kahna to ghalat hai yar par
saf kahna bhi bura hai kya karen
zulm ki apni alag pahchan hai
ek madad ka rasta hai kya karen
hum jise the DhunDte hi rah gae
samne hi wo khaDa hai kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.