ishq karna tha ishq kar baiThe
ishq karnā thā ishq kar baiThe
ham ne aafat bulā.ī ghar baiThe
sab na.ī raushnī ke chakkar meñ
tīrgī ko qubūl kar baiThe
jo ġhalat hai usī ko uThnā hai
ham haiñ apne maqām par baiThe
chaliye ḳhud se hī baat kī jaa.e
kaun fursat meñ raat bhar baiThe
ik zarā hañs ke baat kyā kar lī
aap line cross kar baiThe
jab nahīñ bechnā the ashk tumheñ
kyoñ yahāñ le ke chashm-e-tar baiThe
ishq karna tha ishq kar baiThe
hum ne aafat bulai ghar baiThe
sab nai raushni ke chakkar mein
tirgi ko qubul kar baiThe
jo ghalat hai usi ko uThna hai
hum hain apne maqam par baiThe
chaliye KHud se hi baat ki jae
kaun fursat mein raat bhar baiThe
ek zara hans ke baat kya kar li
aap line cross kar baiThe
jab nahin bechna the ashk tumhein
kyon yahan le ke chashm-e-tar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.