ishq karne ka irada ho to humse milna
ishq karne kā irāda ho to ham se milnā
tum ko ḳhud se kabhī milnā ho to ham se milnā
qābil-e-dīd haiñ sab zaḳhm hamāre dil ke
aap ko shauq-e-tamāshā ho to ham se milnā
sāya-e-gul meñ mulāqāt rahegī tum se
mausam-e-gul meñ jo tanhā ho to ham se milnā
be-sabab ham bhī kisī se nahīñ milte sāhab
tum bhī milne kī tamannā ho to ham se milnā
va.ada-e-vasl to lete nahīñ tum se lekin
ittifāqan idhar aanā ho to ham se milnā
apnī āñkhoñ ke liye ḳhvāb kahāñ furqat meñ
ḳhvāb tum ne koī dekhā ho to ham se milnā
apnā dar sab pe khulā hai koī apnā ho ki ġhair
kisī darvesh se milnā ho to ham se milnā
ishq karne ka irada ho to hum se milna
tum ko KHud se kabhi milna ho to hum se milna
qabil-e-did hain sab zaKHm hamare dil ke
aap ko shauq-e-tamasha ho to hum se milna
saya-e-gul mein mulaqat rahegi tum se
mausam-e-gul mein jo tanha ho to hum se milna
be-sabab hum bhi kisi se nahin milte sahab
tum bhi milne ki tamanna ho to hum se milna
wada-e-wasl to lete nahin tum se lekin
ittifaqan idhar aana ho to hum se milna
apni aankhon ke liye KHwab kahan furqat mein
KHwab tum ne koi dekha ho to hum se milna
apna dar sab pe khula hai koi apna ho ki ghair
kisi darwesh se milna ho to hum se milna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.