ishq ke chaak par dharī duniyā
apnī marzī se phir gaḌhī duniyā
us kī āñkheñ baḌī baḌī āñkheñ
merī duniyā baḌī baḌī duniyā
terī dīvāngī pe taj dī hai
dekh le ye harī bharī duniyā
chaar chīzeñ tire muqābil haiñ
rañg ḳhushbū-o-shā.irī duniyā
thoḌī mushkil meñ Daal kar ham ko
saḳht mushkil meñ aa paḌī duniyā
sar-phirā huuñ bahut mirī sun le
chhoḌ dūñgā o sar-phirī duniyā
ishq ke chaak par dhari duniya
apni marzi se phir gaDhi duniya
us ki aankhen baDi baDi aankhen
meri duniya baDi baDi duniya
teri diwangi pe taj di hai
dekh le ye hari bhari duniya
chaar chizen tere muqabil hain
rang KHushbu-o-shairi duniya
thoDi mushkil mein Dal kar hum ko
saKHt mushkil mein aa paDi duniya
sar-phira hun bahut meri sun le
chhoD dunga o sar-phiri duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.