ishq ke daur mein kuchh aise bhi pahlu aae
ishq ke daur meñ kuchh aise bhī pahlū aa.e
hañsnā chāhā to mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e
ik to vo phuul hī kāġhaz ke uThā laayā hai
is pe ye zid hai ki in phūloñ se ḳhushbū aa.e
tū kahāñ thā ki tujhe DhūñDne mere ghar tak
kabhī bhauñre kabhī titlī kabhī jugnū aa.e
bas ye hī soch ke har vaqt tujhe yaad kiyā
apnī yādoñ ke ta.āqub meñ kabhī to aa.e
merā sabr aur tire zulm-o-sitam tol sake
kaash ījād meñ aisā bhī tarāzū aa.e
tū hī us ḳhvāb kī ta.abīr batā kyoñ 'ḳhālid'
jism se mere tire jism kī ḳhushbū aa.e
ishq ke daur mein kuchh aise bhi pahlu aae
hansna chaha to meri aankhon mein aansu aae
ek to wo phul hi kaghaz ke uTha laya hai
is pe ye zid hai ki in phulon se KHushbu aae
tu kahan tha ki tujhe DhunDne mere ghar tak
kabhi bhaunre kabhi titli kabhi jugnu aae
bas ye hi soch ke har waqt tujhe yaad kiya
apni yaadon ke taaqub mein kabhi to aae
mera sabr aur tere zulm-o-sitam tol sake
kash ijad mein aisa bhi taraazu aae
tu hi us KHwab ki tabir bata kyon 'KHalid'
jism se mere tere jism ki KHushbu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.