ishq ke eajaz se taskin ka saman ho gain
ishq ke e.ajāz se taskīñ kā sāmāñ ho ga.iiñ
ab jafā.eñ bhī navāzish-hā-e-pinhāñ ho ga.iiñ
apnī āzādī pe nāzāñ haiñ abas vo bulbuleñ
jo qafas se duur pāband-e-gulistāñ ho ga.iiñ
ab faqat terā tasavvur hai ki dil ke sāth-sāth
ārzūeñ bhī asīr-e-zulf-e-pechāñ ho ga.iiñ
garche kaalī haiñ bahut shab-hā-e-tār-e-intizār
tīrgī-e-baḳht se mere daraḳhshāñ ho ga.iiñ
bāġh-e-ālam meñ na.e gul khil rahe haiñ ai sabā
un kī zulfeñ dosh par shāyad pareshāñ ho ga.iiñ
aah jin kā husn kahtā thā ki ham ḳhākī nahīñ
sūrateñ vo ḳhaak ke parde meñ pinhāñ ho ga.iiñ
hasratoñ ko yaas ne baḳhshī hai ik taaza hayāt
miT ga.iiñ jab dāġh-e-dil ban kar numāyāñ ho ga.iiñ
ishq ke eajaz se taskin ka saman ho gain
ab jafaen bhi nawazish-ha-e-pinhan ho gain
apni aazadi pe nazan hain abas wo bulbulen
jo qafas se dur paband-e-gulistan ho gain
ab faqat tera tasawwur hai ki dil ke sath-sath
aarzuen bhi asir-e-zulf-e-pechan ho gain
garche kali hain bahut shab-ha-e-tar-e-intizar
tirgi-e-baKHt se mere daraKHshan ho gain
bagh-e-alam mein nae gul khil rahe hain ai saba
un ki zulfen dosh par shayad pareshan ho gain
aah jin ka husn kahta tha ki hum KHaki nahin
suraten wo KHak ke parde mein pinhan ho gain
hasraton ko yas ne baKHshi hai ek taza hayat
miT gain jab dagh-e-dil ban kar numayan ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.