ishq ke gham-gusar hain hum log
Interesting Fact
July 1951
ishq ke ġham-gusār haiñ ham log
husn ke rāzdār haiñ ham log
dast-e-qudrat ko naaz hai ham par
vaqt ke shāhkār haiñ ham log
ham se qaa.em hai gulistāñ kā bharam
ābrū-e-bahār haiñ ham log
manzileñ haiñ hamāre qadmoñ meñ
hāsil-e-rah-guzār haiñ ham log
ham se tanzīm hai zamāne kī
mehvar-e-rozgār haiñ ham log
ham jo chāheñge ab vahī hogā
sāhab-e-iḳhtiyār haiñ ham log
ham se raushan hai kā.enāt 'shakeb'
asl-e-lail-o-nahār haiñ ham log
ishq ke gham-gusar hain hum log
husn ke raazdar hain hum log
dast-e-qudrat ko naz hai hum par
waqt ke shahkar hain hum log
hum se qaem hai gulistan ka bharam
aabru-e-bahaar hain hum log
manzilen hain hamare qadmon mein
hasil-e-rah-guzar hain hum log
hum se tanzim hai zamane ki
mehwar-e-rozgar hain hum log
hum jo chahenge ab wahi hoga
sahab-e-iKHtiyar hain hum log
hum se raushan hai kaenat 'shakeb'
asl-e-lail-o-nahaar hain hum log
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 270)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.