ishq ke imtihan se guzre hain
ishq ke imtihāñ se guzre haiñ
jaan kar ham bhī jaañ se guzre haiñ
ham batā.eñge hijr kī lazzat
ham bhī is imtihāñ se guzre haiñ
sar-e-manzil ġhubār sā kyā hai
kārvāñ kyā yahāñ se guzre haiñ
aaj bād-e-sabā meñ shoḳhī hai
ho na ho vo yahāñ se guzre haiñ
aao tum ko batā.eñ haal apnā
jāñ-nisārī meñ jaañ se guzre haiñ
haa.e kyā log the jo ab ke baras
nā-gahāñ is jahāñ se guzre haiñ
kyā qayāmat hai aaj vo bhī 'azīm'
bad-gumāñ bad-gumāñ se guzre haiñ
ishq ke imtihan se guzre hain
jaan kar hum bhi jaan se guzre hain
hum bataenge hijr ki lazzat
hum bhi is imtihan se guzre hain
sar-e-manzil ghubar sa kya hai
karwan kya yahan se guzre hain
aaj baad-e-saba mein shoKHi hai
ho na ho wo yahan se guzre hain
aao tum ko bataen haal apna
jaan-nisari mein jaan se guzre hain
hae kya log the jo ab ke baras
na-gahan is jahan se guzre hain
kya qayamat hai aaj wo bhi 'azim'
bad-guman bad-guman se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.