ishq ke KHwabon mein gum ek zindagi hoti rahi
ishq ke ḳhvāboñ meñ gum ik zindagī hotī rahī
ya.anī ham se pairvi-e-tīrgī hotī rahī
naukrī phir āshiqī ye hī haiñ apne regzār
zindagī kī dauḌ hī āvārgī hotī rahī
dil hī dil meñ jaane kab tak chheḌ ḳhvāboñ se chalī
dil hī dil meñ jaane kab tak dil-lagī hotī rahī
aise pyāsoñ kī hukūmat hogī dariyāoñ pe ab
jin kī gagrī meñ bhī shāmil tishnagī hotī rahī
ishq tum se hī rahegā vo yahī kahtā rahā
vaqt-e-ruḳhsat maiñ fidā-e-sādgī hotī rahī
ishq ke KHwabon mein gum ek zindagi hoti rahi
yani hum se pairwi-e-tirgi hoti rahi
naukri phir aashiqi ye hi hain apne regzar
zindagi ki dauD hi aawargi hoti rahi
dil hi dil mein jaane kab tak chheD KHwabon se chali
dil hi dil mein jaane kab tak dil-lagi hoti rahi
aise pyason ki hukumat hogi dariyaon pe ab
jin ki gagri mein bhi shamil tishnagi hoti rahi
ishq tum se hi rahega wo yahi kahta raha
waqt-e-ruKHsat main fida-e-sadgi hoti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.