ishq ke markaz mein jaana ho gaya
'ishq ke markaz meñ jaanā ho gayā
muskurā.e ik zamāna ho gayā
jab se āñkheñ 'āshiqāna ho ga.iiñ
shahr meñ zāhir divāna ho gayā
bevafā se 'āshiqī kā ye sila
dil ġhamoñ kā kārḳhāna ho gayā
ghir ga.iiñ ġham kī ghaTā.eñ aaj yuuñ
mushkiloñ meñ āb-o-dāna ho gayā
ab nahīñ tere chaleñge paiñtare
dil mirā ab to siyānā ho gayā
'ishq ke markaz mein jaana ho gaya
muskurae ek zamana ho gaya
jab se aankhen 'ashiqana ho gain
shahr mein zahir diwana ho gaya
bewafa se 'ashiqi ka ye sila
dil ghamon ka karKHana ho gaya
ghir gain gham ki ghaTaen aaj yun
mushkilon mein aab-o-dana ho gaya
ab nahin tere chalenge paintare
dil mera ab to siyana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.