ishq ke muKHbir ko apna raaz-dan samjha tha main
ishq ke muKHbir ko apna raaz-dan samjha tha main
Syed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
MORE BYSyed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
ishq ke muḳhbir ko apnā rāz-dāñ samjhā thā maiñ
rahzan-e-manzil ko mīr-e-kārvāñ samjhā thā meñ
tuur ke qisse ko apnī dāstāñ samjhā thā maiñ
bijliyoñ ke ghar ko apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
sub.h-e-mahshar bahr-e-tajdīd-e-namāz-e-zindagī
sūr-e-isrāfīl ko bāñg-e-azāñ samjhā thā maiñ
aaj mujh par zulm Dhātā hai falak ban kar vahī
jis ko kal tak apnī aahoñ kā dhuāñ samjhā thā maiñ
aah ai shor-e-qayāmat kyā kiyā tū ne sitam
kuchh abhī rāz-e-hayāt-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
mar gayā 'mahmūd' tujh ko DhūñD kar ai zindagī
tū kahāñ aa kar milī tujh ko kahāñ samjhā thā maiñ
ishq ke muKHbir ko apna raaz-dan samjha tha main
rahzan-e-manzil ko mir-e-karwan samjha tha mein
tur ke qisse ko apni dastan samjha tha main
bijliyon ke ghar ko apna aashiyan samjha tha main
subh-e-mahshar bahr-e-tajdid-e-namaz-e-zindagi
sur-e-israfil ko bang-e-azan samjha tha main
aaj mujh par zulm Dhata hai falak ban kar wahi
jis ko kal tak apni aahon ka dhuan samjha tha main
aah ai shor-e-qayamat kya kiya tu ne sitam
kuchh abhi raaz-e-hayat-e-jawedan samjha tha main
mar gaya 'mahmud' tujh ko DhunD kar ai zindagi
tu kahan aa kar mili tujh ko kahan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.