ishq ke raste chalte chalte hum aise majbur hue
'ishq ke raste chalte chalte ham aise majbūr hue
ek zarā sī Thes lagī to dil ke shīshe chuur hue
pyaar meñ lākhoñ dil TuuTe aur bane hazāroñ afsāne
jin meñ dil kā dard thā shāmil vo qisse mash.hūr hue
sachche logoñ ko ye duniyā jiine hī kab detī hai
un se pūchho jo ye jīvan jiine par majbūr hue
is duniyā meñ kuchh paane kā muul chukānā paḌtā hai
milī hai shohrat jin ko ziyāda vo apnoñ se duur hue
apnā ujālā baañT ke sab ko ḳhud meñ hī kho jaate haiñ
aise log magar ai duniyā tujh ko kab manzūr hue
'ishq ke raste chalte chalte hum aise majbur hue
ek zara si Thes lagi to dil ke shishe chur hue
pyar mein lakhon dil TuTe aur bane hazaron afsane
jin mein dil ka dard tha shamil wo qisse mashhur hue
sachche logon ko ye duniya jine hi kab deti hai
un se puchho jo ye jiwan jine par majbur hue
is duniya mein kuchh pane ka mul chukana paDta hai
mili hai shohrat jin ko ziyaada wo apnon se dur hue
apna ujala banT ke sab ko KHud mein hi kho jate hain
aise log magar ai duniya tujh ko kab manzur hue
- Book : Apna to mile koi (Pg. 49)
- Author : Devmani Pandey
- Publication : Amrit parkashan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.