ishq ke TuTe hue rishton ka matam kya karen
ishq ke TuuTe hue rishtoñ kā mātam kyā kareñ
zindagī aa tujh se phir ik baar samjhautā kareñ
zindagī kab tak tire darmāndgān-e-ārzū
ḳhvāb dekheñ aur ta.abīroñ ko sharminda kareñ
muḌ ke dekhā aur patthar ke hue is shahr meñ
ḳhud sadā ban jaao āvāzeñ agar pīchhā kareñ
nā-umīdāna bhī jiine kā salīqa hai hameñ
aa.ine TuuTe hue dil meñ sajā kar kyā kareñ
chand zarre dil ke raqsāñ haiñ fazāoñ meñ abhī
laao in zarroñ meñ hashr-e-ārzū barpā kareñ
ḳhūñ-chakāñ āñkhoñ se apnī ḳhush nahīñ ham bhī magar
chaak dāman ho to sī leñ chāk-e-dil ko kyā kareñ
bujh ga.e ek ek kar ke sab aqīdoñ ke charāġh
ai zamāne kī havā ab ye batā ham kyā kareñ
āfiyat dushman thā dil-nā-āqebat-andesh ham
ab kise ilzām deñ 'aḳhtar' kise rusvā kareñ
ishq ke TuTe hue rishton ka matam kya karen
zindagi aa tujh se phir ek bar samjhauta karen
zindagi kab tak tere darmandgan-e-arzu
KHwab dekhen aur tabiron ko sharminda karen
muD ke dekha aur patthar ke hue is shahr mein
KHud sada ban jao aawazen agar pichha karen
na-umidana bhi jine ka saliqa hai hamein
aaine TuTe hue dil mein saja kar kya karen
chand zarre dil ke raqsan hain fazaon mein abhi
lao in zarron mein hashr-e-arzu barpa karen
KHun-chakan aankhon se apni KHush nahin hum bhi magar
chaak daman ho to si len chaak-e-dil ko kya karen
bujh gae ek ek kar ke sab aqidon ke charagh
ai zamane ki hawa ab ye bata hum kya karen
aafiyat dushman tha dil-na-aqebat-andesh hum
ab kise ilzam den 'aKHtar' kise ruswa karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.