ishq ki duniya ka ye dastur hona chahiye
ishq ki duniyā kā ye dastūr honā chāhiye
qurbatoñ meñ fāsla manzūr honā chāhiye
sarv-qad sīmīñ-badan āñkheñ nashīlī surḳh hoñT
aap ko thoḌā bahut maġhrūr honā chāhiye
ḳhud-ba-ḳhud aa jā.egā tujh ko salīqa pyaar kā
sāmne tere koī maġhrūr honā chāhiye
gar tujhe mahsūs karnā hai mohabbat kā maza
pyaar jo kartā hai tujh se duur honā chāhiye
gar tujhe tanqīd karnā hai kisī ke sher par
terī bhī koī ġhazal mash.hūr honā chāhiye
ishq ki duniya ka ye dastur hona chahiye
qurbaton mein fasla manzur hona chahiye
sarw-qad simin-badan aankhen nashili surKH honT
aap ko thoDa bahut maghrur hona chahiye
KHud-ba-KHud aa jaega tujh ko saliqa pyar ka
samne tere koi maghrur hona chahiye
gar tujhe mahsus karna hai mohabbat ka maza
pyar jo karta hai tujh se dur hona chahiye
gar tujhe tanqid karna hai kisi ke sher par
teri bhi koi ghazal mashhur hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.