ishq ki aaina-samani dekh
ishq kī ā.ina-sāmānī dekh
aa mirā ālam-e-hairānī dekh
hairatī soz-e-mohabbat kā na ban
apne jalvoñ kī daraḳhshānī dekh
lāla-o-sarv saman ke tālib
mere ashkoñ kī gul-afshānī dekh
rāz-e-ta.amīr samajhne ke liye
dar-o-dīvār kī vīrānī dekh
jānib-e-tūr na jā ai 'shāriq'
aa mirī soḳhta-sāmānī dekh
ishq ki aaina-samani dekh
aa mera aalam-e-hairani dekh
hairati soz-e-mohabbat ka na ban
apne jalwon ki daraKHshani dekh
lala-o-sarw saman ke talib
mere ashkon ki gul-afshani dekh
raaz-e-tamir samajhne ke liye
dar-o-diwar ki virani dekh
jaanib-e-tur na ja ai 'shaariq'
aa meri soKHta-samani dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.