ishq ki aankh is liye nam hai
ishq kī aañkh is liye nam hai
husn kī zindagī bahut kam hai
rāz-e-hastī samajh sakā hai kaun
yuuñ to hāthoñ meñ sāġhar-e-jam hai
ai mire ham-safar sañbhal ke chalo
rāste kā charāġh maddham hai
chāñd badlī meñ chhup na jaa.e kahīñ
gesū-e-yār aaj barham hai
us kī har baat hai mirā īmāñ
sar-e-taslīm aaj bhī ḳham hai
ishq ki aankh is liye nam hai
husn ki zindagi bahut kam hai
raaz-e-hasti samajh saka hai kaun
yun to hathon mein saghar-e-jam hai
ai mere ham-safar sanbhal ke chalo
raste ka charagh maddham hai
chand badli mein chhup na jae kahin
gesu-e-yar aaj barham hai
us ki har baat hai mera iman
sar-e-taslim aaj bhi KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.