ishq ki allah ri dushwariyan
'ishq kī allāh rī dushvāriyāñ
ik junūñ aur laakh zimmedāriyāñ
ehtimām-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane kī haiñ tayyāriyāñ
'ishq kā ġham vo bhī tere 'ishq kā
kaun kar saktā mirī ġham-ḳhvāriyāñ
be-ḳhūdī-e-ishq jaise ġham kī niiñd
ġham kī nīñdeñ ruuh kī bedāriyāñ
ik junūn-e-ishq par qurbān haiñ
hikmat-o-irfāñ kī sau hushyāriyāñ
'ishq bhī hai kis qadar bar-ḳhud ġhalat
un kī bazm-e-nāz aur ḳhuddāriyāñ
chhūT kar rah jaa.eñ nabzeñ 'ishq kī
sahl ho jaa.eñ agar dushvāriyāñ
ye niyāz-e-ārzūmandī na dekh
aur kuchh haiñ 'ishq kī ḳhuddāriyāñ
ik nigāh be-niyāz-e-ishq tak
husn kī haiñ sab ġhalat-pindāriyāñ
ai javānī ai mohabbat marhabā
phir na ye nīñdeñ na ye bedāriyāñ
iḳhtilāj-e-qalb ke daure nahīñ
'ishq kī 'bismil' haiñ dil-āzāriyāñ
'ishq ki allah ri dushwariyan
ek junun aur lakh zimmedariyan
ehtimam-e-zindagi-e-ishq dekh
roz mar jaane ki hain tayyariyan
'ishq ka gham wo bhi tere 'ishq ka
kaun kar sakta meri gham-KHwariyan
be-KHudi-e-ishq jaise gham ki nind
gham ki ninden ruh ki bedariyan
ek junun-e-ishq par qurban hain
hikmat-o-irfan ki sau hushyariyan
'ishq bhi hai kis qadar bar-KHud ghalat
un ki bazm-e-naz aur KHuddariyan
chhuT kar rah jaen nabzen 'ishq ki
sahl ho jaen agar dushwariyan
ye niyaz-e-arzumandi na dekh
aur kuchh hain 'ishq ki KHuddariyan
ek nigah be-niyaz-e-ishq tak
husn ki hain sab ghalat-pindariyan
ai jawani ai mohabbat marhaba
phir na ye ninden na ye bedariyan
iKHtilaj-e-qalb ke daure nahin
'ishq ki 'bismil' hain dil-azariyan
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 46)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.