ishq ki apni zaban hoti hai
ishq kī apnī zabāñ hotī hai
jo nigāhoñ se bayāñ hotī hai
thī kisī daur meñ ulfat bāham
aaj logoñ meñ kahāñ hotī hai
dil ko hotī hai yaqīnan taskīñ
pañjgāna jo azaañ hotī hai
jab bhī baḌhtā hai sitamgar kā sitam
to jasārat bhī javāñ hotī hai
murtakib ho jo gunāhoñ kī 'zakī'
zindagī vaj.h-e-ziyāñ hotī hai
ishq ki apni zaban hoti hai
jo nigahon se bayan hoti hai
thi kisi daur mein ulfat baham
aaj logon mein kahan hoti hai
dil ko hoti hai yaqinan taskin
panjgana jo azan hoti hai
jab bhi baDhta hai sitamgar ka sitam
to jasarat bhi jawan hoti hai
murtakib ho jo gunahon ki 'zaki'
zindagi wajh-e-ziyan hoti hai
- Book : ضبط فغاں(شعری مجموعہ) (Pg. 160)
- Author : کوکب ذکی
- Publication : وشواس پبلی کیشنز ،حیدرآباد (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.