ishq ki bargah tak pahuncha
ishq kī bārgāh tak pahuñchā
husn jā-e-panāh tak pahuñchā
dil ke hāthoñ vo shoḳh bhī āḳhir
mere hāl-e-tabāh tak pahuñchā
ab to utrā huuñ tark-e-ulfat par
dard fikr-o-nigāh tak pahuñchā
āsiyoñ se hai mujtanib vaa.iz
zohd hadd-e-gunāh tak pahuñchā
tesha-e-koh-kan kā vaar āḳhir
satvat-e-kaj-kulāh tak pahuñchā
jab bhī taḳhrīb-e-dīñ kī baat chalī
silsila ḳhānqāh tak pahuñchā
DhūñD kar hashr meñ karam us kā
mere fard-e-siyāh tak pahuñchā
ishq ki bargah tak pahuncha
husn ja-e-panah tak pahuncha
dil ke hathon wo shoKH bhi aaKHir
mere haal-e-tabah tak pahuncha
ab to utra hun tark-e-ulfat par
dard fikr-o-nigah tak pahuncha
aasiyon se hai mujtanib waiz
zohd hadd-e-gunah tak pahuncha
tesha-e-koh-kan ka war aaKHir
satwat-e-kaj-kulah tak pahuncha
jab bhi taKHrib-e-din ki baat chali
silsila KHanqah tak pahuncha
DhunD kar hashr mein karam us ka
mere fard-e-siyah tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.