ishq ki baat to purani hai
ishq kī baat to purānī hai
roz lekin na.ī kahānī hai
pyaar ke qisse meñ haiñ do hī lafz
ek hai ishq ik javānī hai
rāhbar ban gayā hai ḳhud rahzan
kis qadar dukh bharī kahānī hai
tere ḳhat umr bhar kā hāsil haiñ
chūḌī ik kāñch kī nishānī hai
TūTtī saañs kī hikāyat kyā
jaise sahrā meñ buuñd paanī hai
ishq ki baat to purani hai
roz lekin nai kahani hai
pyar ke qisse mein hain do hi lafz
ek hai ishq ek jawani hai
rahbar ban gaya hai KHud rahzan
kis qadar dukh bhari kahani hai
tere KHat umr bhar ka hasil hain
chuDi ek kanch ki nishani hai
TuTti sans ki hikayat kya
jaise sahra mein bund pani hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 344)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.