ishq ki chingariyon ko phir hawa dene lage
ishq kī chiñgāriyoñ ko phir havā dene lage
mere paas aa kar vo dushman ko duā dene lage
mai-kade kā mai-kada ḳhāmosh thā mere baġhair
maiñ huā vārid to paimāne sadā dene lage
ḳhatm karnā hī paḌeñgī shām-e-ġham kī uljhaneñ
ab vo apne gesuoñ kā vāsta dene lage
e.atirāf-e-auj kā jazba nahīñ ahbāb meñ
har taraqqī par taraqqī kī duā dene lage
dostoñ kī kaj-adā.ī maiñ bhī lazzat hai 'shakīl'
dost vo hai dost ban kar jo daġhā dene lage
ishq ki chingariyon ko phir hawa dene lage
mere pas aa kar wo dushman ko dua dene lage
mai-kade ka mai-kada KHamosh tha mere baghair
main hua warid to paimane sada dene lage
KHatm karna hi paDengi sham-e-gham ki uljhanen
ab wo apne gesuon ka wasta dene lage
eatiraf-e-auj ka jazba nahin ahbab mein
har taraqqi par taraqqi ki dua dene lage
doston ki kaj-adai main bhi lazzat hai 'shakil'
dost wo hai dost ban kar jo dagha dene lage
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 739)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.