Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin

Karam Hyderabadi

ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin

Karam Hyderabadi

MORE BYKaram Hyderabadi

    ishq duniyā meñ kyā kyā ham ko sauġhāteñ milīñ

    suunī sub.heñ rotī shāmeñ jāgtī rāteñ milīñ

    barastī dhuup meñ tapte sulagte din mile

    ridā-e-dard meñ lipTī huī rāteñ milīñ

    kuchh sabāhat kuchh malāhat thī nasīb-e-āshiqāñ

    āñsuoñ ke rañg meñ namkīn barsāteñ milīñ

    gah ujaḌ jaane mātam gah bichhaḌ jaane shor

    dil ke andar jab milīñ nauhoñ bārāteñ milīñ

    khokhle chehroñ pe sīm-o-zar thiiñ ārā.isheñ

    ahl-e-ma.anī ko magar lafzoñ ḳhairāteñ milīñ

    khelne vaale to bas das biis shatranjī rahe

    dekhne vāloñ ko shah-mātoñ pe shah-māteñ milīñ

    zalzale aa.e to jo paikar the sañg-o-ḳhisht ke

    un ke hoñToñ par duā.eñ aur munājāteñ milīñ

    ishq ko fikr-o-shu.ūr-e-zindagī darkār thā

    aur use nā-puḳhta zehnoñ karāmāteñ milīñ

    ham unhī ko sher qālib atā karte rahe

    be-sadā hoñToñ pe jo bikhrī huī bāteñ milīñ

    kis tarah kahte 'karam' duniyā se apne dil haal

    dostoñ se bhī adhūrī mulāqāteñ milīñ

    ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin

    suni subhen roti shamen jagti raaten milin

    ya barasti dhup mein tapte sulagte din mile

    ya rida-e-dard mein lipTi hui raaten milin

    kuchh sabahat kuchh malahat thi nasib-e-ashiqan

    aansuon ke rang mein namkin barsaten milin

    gah ujaD jaane ka matam gah bichhaD jaane ka shor

    dil ke andar jab milin nauhon ki baraaten milin

    khokhle chehron pe sim-o-zar ki thin aaraishen

    ahl-e-mani ko magar lafzon ki KHairaaten milin

    khelne wale to bas das bis shatranji rahe

    dekhne walon ko shah-maton pe shah-maten milin

    zalzale aae to jo paikar the sang-o-KHisht ke

    un ke honTon par duaen aur munajaten milin

    ishq ko fikr-o-shuur-e-zindagi darkar tha

    aur use na-puKHta zehnon ki karamaten milin

    hum unhi ko sher ka qalib ata karte rahe

    be-sada honTon pe jo bikhri hui baaten milin

    kis tarah kahte 'karam' duniya se apne dil ka haal

    doston se bhi adhuri si mulaqaten milin

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 646)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now