ishq ki ek ik haqiqat dastan tak aa gai
ishq kī ik ik haqīqat dāstāñ tak aa ga.ī
aane vaalī baat thī āḳhir zabāñ tak aa ga.ī
allah allah shauq-e-sajda-rezī-e-dair-o-haram
ye jabīñ jhukte hī tere āstāñ tak aa ga.ī
azm-e-mustahkam ne baḌh kar ḳhud banā lī apnī raah
ya.anī manzil khīñch ke gard-e-kārvāñ tak aa ga.ī
ek sho.ala thā jo husn-e-āriz-e-gul se uThā
ek bijlī thī jo mere āshiyāñ tak aa ga.ī
chal paḌī ahl-e-mohabbat meñ jo zarf-e-dil kī baat
baḌhte baḌhte vus.at-e-kaun-o-makāñ tak aa ga.ī
hote hote ho ga.e ham apnī ġhaflat kā shikār
rafta rafta be-hisī ḳhvāb-e-girāñ tak aa ga.ī
tā.ir-e-be-par bache kyā daam se sayyād ke
zad meñ jab saarī fazā-e-gulsitāñ tak aa ga.ī
ham to samjhe the ḳhizāñ kā hai guloñ hī tak asar
naubat ab barbādiyoñ kī āshiyāñ tak aa ga.ī
josh-e-vahshat meñ kiyā phūloñ ne dāman chāk-chāk
ye havā sahrā se chal kar gulsitāñ tak aa ga.ī
un kī ye shoḳhī ki haiñ merī vafā par ta.ana-zan
mujh ko ye hairat ki ab naubat yahāñ tak aa ga.ī
sher-e-'muslim' meñ na kar hamdam ma.ānī kī talāsh
baat ik paidā huī dil meñ zabāñ tak aa ga.ī
ishq ki ek ek haqiqat dastan tak aa gai
aane wali baat thi aaKHir zaban tak aa gai
allah allah shauq-e-sajda-rezi-e-dair-o-haram
ye jabin jhukte hi tere aastan tak aa gai
azm-e-mustahkam ne baDh kar KHud bana li apni rah
yani manzil khinch ke gard-e-karwan tak aa gai
ek shoala tha jo husn-e-ariz-e-gul se uTha
ek bijli thi jo mere aashiyan tak aa gai
chal paDi ahl-e-mohabbat mein jo zarf-e-dil ki baat
baDhte baDhte wusat-e-kaun-o-makan tak aa gai
hote hote ho gae hum apni ghaflat ka shikar
rafta rafta be-hisi KHwab-e-giran tak aa gai
tair-e-be-par bache kya dam se sayyaad ke
zad mein jab sari faza-e-gulsitan tak aa gai
hum to samjhe the KHizan ka hai gulon hi tak asar
naubat ab barbaadiyon ki aashiyan tak aa gai
josh-e-wahshat mein kiya phulon ne daman chaak-chaak
ye hawa sahra se chal kar gulsitan tak aa gai
un ki ye shoKHi ki hain meri wafa par tana-zan
mujh ko ye hairat ki ab naubat yahan tak aa gai
sher-e-'muslim' mein na kar hamdam maani ki talash
baat ek paida hui dil mein zaban tak aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.