ishq ki intiha ne luT liya
ishq kī intihā ne luuT liyā
kabhī husn-e-vafā ne luuT liyā
kal talak rahzanoñ ne luuTā hameñ
aaj ik āshnā ne luuT liyā
jo badal de muqaddaroñ kā likhā
vaqt kī us adā ne luuT liyā
kabhī luuTā jamāl ne tere
kabhī terī vafā ne luuT liyā
bach gayā vaqt kī adāvat se
to mujhe nā-ḳhudā ne luuT liyā
ishq ki intiha ne luT liya
kabhi husn-e-wafa ne luT liya
kal talak rahzanon ne luTa hamein
aaj ek aashna ne luT liya
jo badal de muqaddaron ka likha
waqt ki us ada ne luT liya
kabhi luTa jamal ne tere
kabhi teri wafa ne luT liya
bach gaya waqt ki adawat se
to mujhe na-KHuda ne luT liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.