ishq ki jaise hi tashhir hui
'ishq kī jaise hī tash.hīr huī
zindagī ranj se tā'bīr huī
dhuup meñ rakh ke koī bhuul gayā
dil-lagī kī yahī tā'zīr huī
dil ke ā.īne pe chāhat kā dhamāl
rang bikhrā tirī tasvīr huī
chashm-e-nam chand ġhazal aur bayāz
‘ishq-zādoñ kī ye jāgīr huī
paḌ ga.ī chehre pe ālām kī gard
bebasī paañv kī zanjīr huī
kūza-gar ne hī jise pheñk diyā
aisī miTTī kī bhī tauqīr huī
tere malbūs kī afsurda mahak
shahr-e-kam-zarf kī taqdīr huī
'ishq ki jaise hi tashhir hui
zindagi ranj se ta'bir hui
dhup mein rakh ke koi bhul gaya
dil-lagi ki yahi ta'zir hui
dil ke aaine pe chahat ka dhamal
rang bikhra teri taswir hui
chashm-e-nam chand ghazal aur bayaz
‘ishq-zadon ki ye jagir hui
paD gai chehre pe aalam ki gard
bebasi panw ki zanjir hui
kuza-gar ne hi jise phenk diya
aisi miTTi ki bhi tauqir hui
tere malbus ki afsurda mahak
shahr-e-kam-zarf ki taqdir hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.