ishq ki jis ke pas daulat hai
'ishq kī jis ke paas daulat hai
aise insāñ kī ab zarūrat hai
aab se machhliyoñ ko nisbat hai
keval un kī yahī to qismat hai
laakh bāzār nafratoñ ke hoñ
ho mohabbat sabhī se hasrat hai
duur hote ga.e ḳhudā se tabhī
zindagī meñ bahut hī ġhaflat hai
dard meñ ham sabhī ke shāmil hoñ
zindagī kī yahī to 'azmat hai
saañs apnī de jaa.e kab dhoka
zindagī kī ye hī haqīqat hai
dard-e-ġham se hai āshnā.ī bhī
zindagī kitnī ḳhūb-sūrat hai
'ishq ki jis ke pas daulat hai
aise insan ki ab zarurat hai
aab se machhliyon ko nisbat hai
kewal un ki yahi to qismat hai
lakh bazar nafraton ke hon
ho mohabbat sabhi se hasrat hai
dur hote gae KHuda se tabhi
zindagi mein bahut hi ghaflat hai
dard mein hum sabhi ke shamil hon
zindagi ki yahi to 'azmat hai
sans apni de jae kab dhoka
zindagi ki ye hi haqiqat hai
dard-e-gham se hai aashnai bhi
zindagi kitni KHub-surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.