ishq ki koi agar sikh le gar mujhse tamiz
ishq ki koi agar sikh le gar mujhse tamiz
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
ishq kī koī agar siikh le gar mujh se tamīz
dīn-duniyā meñ huā apne parāyoñ ko aziiz
yā ho shāgird mirā yā mujhe talmīz kare
varna is kūcha-e-ushshāq se kar jaave gurez
maktab-e-ishq se nā-ḳhvāñda uThā jo mahrūm
dono aalam meñ vo kuchh chiiz nahīñ hai nāchīz
mard kyūñkar kahūñ be-ishq jo hove koī
firqa ushshāq meñ us ke ta.iiñ kahte haiñ kanīz
maiñ ne ustād-e-azal se yahī sīkhā thā sabaq
'āfrīdī' na kabhī yaar kī chhoḌūñ dahlīz
ishq ki koi agar sikh le gar mujh se tamiz
din-duniya mein hua apne parayon ko aziz
ya ho shagird mera ya mujhe talmiz kare
warna is kucha-e-ushshaq se kar jawe gurez
maktab-e-ishq se na-KHwanda uTha jo mahrum
dono aalam mein wo kuchh chiz nahin hai nachiz
mard kyunkar kahun be-ishq jo howe koi
firqa ushshaq mein us ke tain kahte hain kaniz
main ne ustad-e-azal se yahi sikha tha sabaq
'afridi' na kabhi yar ki chhoDun dahliz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.