ishq ki mazbut bahon mein simaT kar aa gai
ishq kī mazbūt bāhoñ meñ simaT kar aa ga.ī
us ne kuchh aise pukārā maiñ palaT kar aa ga.ī
zindagī ākāsh meñ uḌtī huī sī ik patang
mere hāthoñ meñ na jaane kaise kaT kar aa ga.ī
nāḳhudā sāhil pe mujh ko dekhtā hī rah gayā
merī TuuTī naav tūfāñ se nimaT kar aa ga.ī
mere purkhoñ kī virāsat bhā.iyoñ ne baañT lī
mere hisse meñ bhī kuchh thoḌī sī ghaT kar aa ga.ī
kuchh to majbūrī rahī hoñgī bhare bāzār meñ
bā-hayā laḌkī naqāb-e-ruḳh ulaT kar aa ga.ī
ek titlī bhī kisī andhī mohabbat kī tarah
phuul se yaarī thī kāñToñ se lipaT kar aa ga.ī
ishq ki mazbut bahon mein simaT kar aa gai
us ne kuchh aise pukara main palaT kar aa gai
zindagi aakash mein uDti hui si ek patang
mere hathon mein na jaane kaise kaT kar aa gai
naKHuda sahil pe mujh ko dekhta hi rah gaya
meri TuTi naw tufan se nimaT kar aa gai
mere purkhon ki wirasat bhaiyon ne banT li
mere hisse mein bhi kuchh thoDi si ghaT kar aa gai
kuchh to majburi rahi hongi bhare bazar mein
ba-haya laDki naqab-e-ruKH ulaT kar aa gai
ek titli bhi kisi andhi mohabbat ki tarah
phul se yari thi kanTon se lipaT kar aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.