ishq ki rah pe chalna rawish-e-am hai ye
ishq kī raah pe chalnā ravish-e-ām hai ye
dekhtā kaun hai āġhāz ki anjām hai ye
zindagī kā koī rasta na koī maut kā ruḳh
kaun se moḌ pe ab gardish-e-ayyām hai ye
ḳhuun kī tum ne adā ḳhuun kī qīmat mere
ġhaur kiije to pasīne kā nahīñ daam hai ye
tum chale aa.e ho ik jhūTī tasallī dene
saare dukh-dard sahī ek to ārām hai ye
husn-e-mahbūb pe jī jaan se qurbāñ honā
qismat-e-ishq meñ bas ek hasīñ kaam hai ye
kal jo kahte the ġhanī aaj gadā kahte haiñ
ik mirā naam thā vo ek mirā naam hai ye
kaun aayā hai 'malik' aaj ujālā ban kar
kis kī aamad mere āñgan meñ sar-e-shām hai ye
ishq ki rah pe chalna rawish-e-am hai ye
dekhta kaun hai aaghaz ki anjam hai ye
zindagi ka koi rasta na koi maut ka ruKH
kaun se moD pe ab gardish-e-ayyam hai ye
KHun ki tum ne ada KHun ki qimat mere
ghaur kije to pasine ka nahin dam hai ye
tum chale aae ho ek jhuTi tasalli dene
sare dukh-dard sahi ek to aaram hai ye
husn-e-mahbub pe ji jaan se qurban hona
qismat-e-ishq mein bas ek hasin kaam hai ye
kal jo kahte the ghani aaj gada kahte hain
ek mera nam tha wo ek mera nam hai ye
kaun aaya hai 'malik' aaj ujala ban kar
kis ki aamad mere aangan mein sar-e-sham hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.