ishq ki sari baaten ai dil pagal-pan ki baaten hain
ishq kī saarī bāteñ ai dil pāgal-pan kī bāteñ haiñ
zulf-e-siyah ke saa.e meñ bhī dār-o-rasan kī bāteñ haiñ
vīrānoñ meñ jā ke dekho kaise kaise phuul khile haiñ
dīvānoñ ke hoñToñ par ab sarv o saman kī bāteñ haiñ
kal tak apne ḳhuun ke aañsū miTTī meñ mil jaate the
aaj usī miTTī se paidā nazm-e-chaman kī bāteñ haiñ
Thokar khāte phirte haiñ ik sub.h yahāñ ik shaam vahāñ
āvāra kī saarī bāteñ koh-o-daman kī bāteñ haiñ
dekheñ kab kirneñ ubhareñgī dekheñ kab taare Dūbeñge
hijr kī shab meñ ab tak yaaro sub.h-e-vatan kī bāteñ haiñ
ishq ki sari baaten ai dil pagal-pan ki baaten hain
zulf-e-siyah ke sae mein bhi dar-o-rasan ki baaten hain
viranon mein ja ke dekho kaise kaise phul khile hain
diwanon ke honTon par ab sarw o saman ki baaten hain
kal tak apne KHun ke aansu miTTi mein mil jate the
aaj usi miTTi se paida nazm-e-chaman ki baaten hain
Thokar khate phirte hain ek subh yahan ek sham wahan
aawara ki sari baaten koh-o-daman ki baaten hain
dekhen kab kirnen ubharengi dekhen kab tare Dubenge
hijr ki shab mein ab tak yaro subh-e-watan ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.