ishq ki sai-e-bad-anjam se Dar bhi na sake
ishq kī sa.i-e-bad-anjām se Dar bhī na sake
ham tirī chashm-e-ināyat se utar bhī na sake
tū na miltā magar allāh re mahrūmi-e-shauq
jiine vaale tirī ummīd meñ mar bhī na sake
barq se khelne tūfān pe hañsne vaale
aise Duube tire ġham meñ ki ubhar bhī na sake
husn ḳhud husn-e-mujassam se pashīmāñ uTThā
ā.īna le ke vo baiThe to sañvar bhī na sake
tishna-lab baiThe haiñ mai-ḳhāna-e-hastī meñ 'sahar'
dil vo TuuTā huā paimāna ki bhar bhī na sake
ishq ki sai-e-bad-anjam se Dar bhi na sake
hum teri chashm-e-inayat se utar bhi na sake
tu na milta magar allah re mahrumi-e-shauq
jine wale teri ummid mein mar bhi na sake
barq se khelne tufan pe hansne wale
aise Dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake
husn KHud husn-e-mujassam se pashiman uTTha
aaina le ke wo baiThe to sanwar bhi na sake
tishna-lab baiThe hain mai-KHana-e-hasti mein 'sahar'
dil wo TuTa hua paimana ki bhar bhi na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.