ishq ki shama kare dil mein farozan koi
ishq kī sham.a kare dil meñ farozāñ koī
phir na ho tīrgī-e-zīst kā sāmāñ koī
lazzat-e-ishq se vāqif jo ho nādāñ koī
duur dil se na kare phir ġham-e-jānāñ koī
rahā mahrūm shahādat se bhī maiñ vā.e-nasīb
zab.h karne ko gayā bhuul rag-e-jāñ koī
rah ke duniyā meñ raheñ duur ham us se kyūñkar
apne sāthī se judā hotā hai insāñ koī
chain se soyā vahī duur jo duniyā se rahā
dekh le jā ke zarā shahr-e-ḳhamoshāñ koī
ek qatra bhī nahīñ ḳhuun kā baaqī 'jauhar'
kaise dekhe bharī āñkhoñ ko gul-afshāñ koī
ishq ki shama kare dil mein farozan koi
phir na ho tirgi-e-zist ka saman koi
lazzat-e-ishq se waqif jo ho nadan koi
dur dil se na kare phir gham-e-jaanan koi
raha mahrum shahadat se bhi main wae-nasib
zabh karne ko gaya bhul rag-e-jaan koi
rah ke duniya mein rahen dur hum us se kyunkar
apne sathi se juda hota hai insan koi
chain se soya wahi dur jo duniya se raha
dekh le ja ke zara shahr-e-KHamoshan koi
ek qatra bhi nahin KHun ka baqi 'jauhar'
kaise dekhe bhari aankhon ko gul-afshan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.