ishq ki sharah-e-muKHtasar ke liye
Interesting Fact
(Jamia, Delhi)
ishq kī sharah-e-muḳhtasar ke liye
sil ga.e hoñT umr-bhar ke liye
zindagī dard-e-dil se katrā kar
dard-e-sar ban ga.ī bashar ke liye
dil azal se hai sho.ala pairāhan
sham.a jaltī hai rāt-bhar ke liye
us ne dil toḌ kar kiyā irshād
ab tasallī hai umr-bhar ke liye
abr-e-rahmat hai ishq kā dāman
ātish-e-razm ḳhair-o-shar ke liye
ham bhī kū-e-butāñ ko jaate haiñ
ai sabā qasd hai kidhar ke liye
vo tajallī hai muntazir ab tak
kisī shā.ista-e-nazar ke liye
ḳhūn-e-dil sarf kar rahā huuñ 'ravish'
ḳhuub se naqsh-e-ḳhūb-tar ke liye
ishq ki sharah-e-muKHtasar ke liye
sil gae honT umr-bhar ke liye
zindagi dard-e-dil se katra kar
dard-e-sar ban gai bashar ke liye
dil azal se hai shoala pairahan
shama jalti hai raat-bhar ke liye
us ne dil toD kar kiya irshad
ab tasalli hai umr-bhar ke liye
abr-e-rahmat hai ishq ka daman
aatish-e-razm KHair-o-shar ke liye
hum bhi ku-e-butan ko jate hain
ai saba qasd hai kidhar ke liye
wo tajalli hai muntazir ab tak
kisi shaista-e-nazar ke liye
KHun-e-dil sarf kar raha hun 'rawish'
KHub se naqsh-e-KHub-tar ke liye
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 58)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.