ishq ko kaenat ka maqsad-o-muddaa samajh
ishq ko kā.enāt kā maqsad-o-mudda.ā samajh
phir tirā zarf hai use dard samajh davā samajh
rāh-e-vafā meñ mujh ko hukm ye hai ki apne aap ko
uTh to ġhubār kar ḳhayāl baiTh to naqsh-e-pā samajh
maiñ jo harīm-e-nāz meñ sham-e-sifat ḳhamosh huuñ
is ko bhī ai nigāh-e-lutf koshish-e-iltijā samajh
ai dil-e-be-qarār-e-dost duur hai manzil-e-vafā
jā tujhe shauq de ḳhudā mujh ko shikasta-pā samajh
terā charāġh-e-zindagī āḳhirī saañs le jahāñ
ishq ke us maqām ko dā.era-e-baqā samajh
duniyā se ahl-e-ishq ko koī nahīñ hai vāsta
sab se huuñ maiñ alag-thalag sab se mujhe judā samajh
mere niyāz par hai tang dair-o-haram kī zindagī
ab ise abtarī samajh yā ise irtiqā samajh
hastī-e-dost se alag terā vajūd kuchh nahīñ
apnī taraf bhī ab na dekh ḳhud ko bhī mā-sivā samajh
arz-o-samā barā-e-dost kaun-o-makāñ sarā-e-dost
jo bhī hai māsivā-e-dost hirs samajh havā samajh
ishq meñ aur husn meñ koī nahīñ hai imtiyāz
ye bhī mirī adā samajh vo bhī mirī adā samajh
jin meñ na josh ho 'zafar' vo mire zamzame nahīñ
dil se jo kheltī uThe us ko mirī navā samajh
ishq ko kaenat ka maqsad-o-muddaa samajh
phir tera zarf hai use dard samajh dawa samajh
rah-e-wafa mein mujh ko hukm ye hai ki apne aap ko
uTh to ghubar kar KHayal baiTh to naqsh-e-pa samajh
main jo harim-e-naz mein sham-e-sifat KHamosh hun
is ko bhi ai nigah-e-lutf koshish-e-iltija samajh
ai dil-e-be-qarar-e-dost dur hai manzil-e-wafa
ja tujhe shauq de KHuda mujh ko shikasta-pa samajh
tera charagh-e-zindagi aaKHiri sans le jahan
ishq ke us maqam ko daera-e-baqa samajh
duniya se ahl-e-ishq ko koi nahin hai wasta
sab se hun main alag-thalag sab se mujhe juda samajh
mere niyaz par hai tang dair-o-haram ki zindagi
ab ise abtari samajh ya ise irtiqa samajh
hasti-e-dost se alag tera wajud kuchh nahin
apni taraf bhi ab na dekh KHud ko bhi ma-siwa samajh
arz-o-sama bara-e-dost kaun-o-makan sara-e-dost
jo bhi hai masiwa-e-dost hirs samajh hawa samajh
ishq mein aur husn mein koi nahin hai imtiyaz
ye bhi meri ada samajh wo bhi meri ada samajh
jin mein na josh ho 'zafar' wo mere zamzame nahin
dil se jo khelti uThe us ko meri nawa samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.