ishq kya chiz hai ye puchhiye parwane se
ishq kyā chiiz hai ye pūchhiye parvāne se
zindagī jis ko mayassar huī jal jaane se
maut kā ḳhauf ho kyā ishq ke dīvāne ko
maut ḳhud kāñptī hai ishq ke dīvāne se
ho gayā Dher vahīñ aah bhī niklī na koī
jaane kyā baat kahī sham.a ne parvāne se
husn be-ishq kahīñ rah nahīñ saktā zinda
bujh ga.ī sham.a bhī parvāne ke jal jaane se
khaa.e jaatī hai nadāmat mujhe is ġhaflat kī
hosh meñ aa ke chalā aayā huuñ maiḳhāne se
kar diyā gardish-e-ayyām ne rusvā 'sāhir'
mujh ko shikva hai yagāne se na begāne se
ishq kya chiz hai ye puchhiye parwane se
zindagi jis ko mayassar hui jal jaane se
maut ka KHauf ho kya ishq ke diwane ko
maut KHud kanpti hai ishq ke diwane se
ho gaya Dher wahin aah bhi nikli na koi
jaane kya baat kahi shama ne parwane se
husn be-ishq kahin rah nahin sakta zinda
bujh gai shama bhi parwane ke jal jaane se
khae jati hai nadamat mujhe is ghaflat ki
hosh mein aa ke chala aaya hun maiKHane se
kar diya gardish-e-ayyam ne ruswa 'sahir'
mujh ko shikwa hai yagane se na begane se
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 222)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.