ishq kya kya na raqib-e-sar-o-saman nikla
ishq kyā kyā na raqīb-e-sar-o-sāmāñ niklā
tie collar kī jagah chāk-garebāñ niklā
zikr patlūn kā kyā ek lañgoTī bhī nahīñ
qais tasvīr ke parde meñ bhī uryāñ niklā
us ne chappal se sar-e-rāh tavāzo kar dī
ab to armān tirā ai dil-e-nādāñ niklā
kis qadar jald huā marhala-e-aqd bhī tai
saḳht mushkil hai ki ye kaam bhī āsāñ niklā
merī aaheñ hoñ ki aġhyār ke cigarette kā dhuāñ
jo tirī bazm se niklā so pareshāñ niklā
bārak-allāh ye ehsān kafan-choroñ kā
suur phuñknā thā ki maiñ qabr se uryāñ niklā
ik phaTā boriyā ik jām-e-shikasta 'hāshim'
baad marne ke mire ghar se ye sāmāñ niklā
ishq kya kya na raqib-e-sar-o-saman nikla
tie collar ki jagah chaak-gareban nikla
zikr patlun ka kya ek langoTi bhi nahin
qais taswir ke parde mein bhi uryan nikla
us ne chappal se sar-e-rah tawazo kar di
ab to arman tera ai dil-e-nadan nikla
kis qadar jald hua marhala-e-aqd bhi tai
saKHt mushkil hai ki ye kaam bhi aasan nikla
meri aahen hon ki aghyar ke cigarette ka dhuan
jo teri bazm se nikla so pareshan nikla
barak-allah ye ehsan kafan-choron ka
sur phunkna tha ki main qabr se uryan nikla
ek phaTa boriya ek jam-e-shikasta 'hashim'
baad marne ke mere ghar se ye saman nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.