ishq manus-e-iltija na hua
ishq mānūs-e-iltijā na huā
husn āzurda-e-jafā na huā
jaisā chāhā banā liyā tum ne
ik khilaunā huā ḳhudā na huā
but ḳhudā ban ke baar baar aa.e
maiñ hī sharminda-e-duā na huā
sab ġhalat-fahmiyāñ hī miT jātīñ
dil sazā-vār-e-iltijā na huā
haa.e majbūriyāñ mohabbat kī
maiñ ḳhafā ho ke bhī ḳhafā na huā
jaane lā kar kahāñ Dubo detā
ḳhair guzrī vo nāḳhudā na huā
aabrū kā tirī ḳhayāl aayā
mujh ko marne kā hausla na huā
ishq manus-e-iltija na hua
husn aazurda-e-jafa na hua
jaisa chaha bana liya tum ne
ek khilauna hua KHuda na hua
but KHuda ban ke bar bar aae
main hi sharminda-e-dua na hua
sab ghalat-fahmiyan hi miT jatin
dil saza-war-e-iltija na hua
hae majburiyan mohabbat ki
main KHafa ho ke bhi KHafa na hua
jaane la kar kahan Dubo deta
KHair guzri wo naKHuda na hua
aabru ka teri KHayal aaya
mujh ko marne ka hausla na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.