ishq mein ab ke hamein jaan se guzarna bhi to hai
ishq meñ ab ke hameñ jaañ se guzarnā bhī to hai
kaam hone kā nahīñ kaam ye karnā bhī to hai
aur phir sāmne hai ḳhāk-nashīnoñ kā jahāñ
ye qadam ham ne kisī ḳhaak pe dharnā bhī to hai
aur ik kaam nikal aatā hai har kaam ke beach
hameñ jiinā hī nahīñ hai hameñ marnā bhī to hai
shahr meñ aur bhī hogā koī ḳhush-ḳhū tujh sā
āḳhir-e-kār tere zaḳhmoñ ne bharnā bhī to hai
ham se be-māya hī taqdīr haiñ is aalam kī
ḳhaak ne chehra-e-daurāñ pe bikharnā bhī to hai
nahīñ aisā bhī jarī koī magar is dil ne
kisī andesha-e-be-nām se Darnā bhī to hai
jab ye tai hai ki nahīñ lauT ke aanā ham ko
Dūbnā hai to kahīñ paar utarnā bhī to hai
ishq mein ab ke hamein jaan se guzarna bhi to hai
kaam hone ka nahin kaam ye karna bhi to hai
aur phir samne hai KHak-nashinon ka jahan
ye qadam hum ne kisi KHak pe dharna bhi to hai
aur ek kaam nikal aata hai har kaam ke beach
hamein jina hi nahin hai hamein marna bhi to hai
shahr mein aur bhi hoga koi KHush-KHu tujh sa
aaKHir-e-kar tere zaKHmon ne bharna bhi to hai
hum se be-maya hi taqdir hain is aalam ki
KHak ne chehra-e-dauran pe bikharna bhi to hai
nahin aisa bhi jari koi magar is dil ne
kisi andesha-e-be-nam se Darna bhi to hai
jab ye tai hai ki nahin lauT ke aana hum ko
Dubna hai to kahin par utarna bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.