ishq meñ ab ḳhuun paanī kījiye
nazr-e-vahshat ye javānī kījiye
aap ke hāthoñ meñ hai sāñsoñ kī Dor
jitnī chāhe khīñchā-tānī kījiye
iltijā kar ke na sharminda kareñ
hukmrāñ haiñ hukmrānī kījiye
mil rahe haiñ ham purāne moḌ par
aap phir bāteñ purānī kījiye
maiñ bahut mushkil se miltā huuñ huzūr
mil gayā huuñ mezbānī kījiye
merā to hai lab-kushā honā gunāh
aap hī jādū-bayānī kījiye
zikr kiije ab 'atā' ke sher kā
ḳhatm 'āmir' kī kahānī kījiye
ishq mein ab KHun pani kijiye
nazr-e-wahshat ye jawani kijiye
aap ke hathon mein hai sanson ki Dor
jitni chahe khincha-tani kijiye
iltija kar ke na sharminda karen
hukmran hain hukmrani kijiye
mil rahe hain hum purane moD par
aap phir baaten purani kijiye
main bahut mushkil se milta hun huzur
mil gaya hun mezbani kijiye
mera to hai lab-kusha hona gunah
aap hi jadu-bayani kijiye
zikr kije ab 'ata' ke sher ka
KHatm 'amir' ki kahani kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.